Content kya hai or content kaise likhte hain -

Namste dosto, ap sabhi ka swagat hai humare apne es blog me jisme hum aj ye janenge ki content kya hota hai or content kaise likhte hain. Agr ap eske bare me jankari lene ke ichchhuk hain to ap es lesson ko pura jarur padhe.

Content kya hai - what is content - content definition

Content kya hota hai

Content ka matlab hota hai kisi bhi topic par apne unique thought se unique tarike se likhna jo kisi se match karta ya copy karta hua na ho. Kahne ka arth hai apke dwara likha gya vo sab content ke antargat aata hai jise apne aisa likha hai jaisa koi nhi likh sakta ya kisi ne nhi likha ho.
Sabhi writer content ko apne apne tarike se explain karte hain. Agar copy karke edr se edr karke ap unique content bnake ye soche ki apne ek content likh diya hai to ye apki ek galat soch hai. Eska karan ye hai ki usme ek bhi line kisi se match karti hui nhi hoti hai. Apka content content tab kahlayega jab usme apke thought dusro se alg ho.

Content writing kaise kare - content kaise likhe - how to write content

How to write a content

Dosto, content ki paribhasha jankar har koi hatash ho jata hai. Unhe aisa lagne lagta hai ki vo apni abhivyakti ko khulke share nhi kar payenge. Eske alava vo apni abhivyakti par ek bandhan samjhne lagte hain. Lekin apko ye fear khatm karna hoga. Apni abhivyakti ko alag tarike se share karna apko aana chahiye kyuki ap ek writer hain or apme eski kshamata hai.

Example ke liye kisi ne market ki paribhasha ye di hai ki esme products ko beche or kharide jate hain jaha pe dukane vagera hoti hai to ap apna content kaise likhenge. Ap market ki paribhasha denge ki ek aisa area jisme customers ki mang ke hisab se products ko khridke becha jata ho vahi market hota hai. To dosto, ye humara tarika ho jata hai ki hume apni tarkib se apne thought se kisi topic ko alg tarah se pesh karna hota hai.

Writing ke liye me humesha yhi dimag me rakhta hun ki Content writing kabhi bhi apki abhivyakti par pratibandh nhi lga sakta hai balki content writing se abhivyakti or jyada sudharti hai. Ap bhi aj se hi apne man pasand topic par kuch hatke likhiye or likh dijiye apna ek unique content.

To dosto, ummid karta hun apko humara ye unique lesson content kya hai or content kaise likhe jarur pasand aaya hoga. Aage bhi rojana aise lesson padhne ke liye ap apni email id dalke free me subscribe jarur karle taki humare latest post ki information apko mail ke madhyam se turant mil jayegi. Milte hain fir ek unique lesson ke sath tab tak likhte rahiye or sikhte rahiye.

- Writer Yogendra Jeengar Yash

4 Comments

  1. aap meri site ko backlink de skte ho kya meri site shayari ke uper hai my name is brijesh saini from jaipur my email address brijesh7191@gmail.com my site http://www.lifekijourney910.com
    aapko bhi me apni site pr backlink de dunga

    ReplyDelete
  2. Sir apne bhut achhi jankari diye. apke thought sidhe dimak me asar karte hai .jo ki hame kisi bhi chij ko samjhne me bhut madad karte hai,
    Mai bhi chahta hu ki mai bhi kuchh achha likhu jo logo ko pasand aaye, log mujhe padhe Aisa kuchh mujhe bataye sir pleas mera email rakeshadey95@gmail.com
    Hai mujhe ap apne thought mail me sakte h

    ReplyDelete
  3. Content likhne ki bahut hi badiya jankari di hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post