What is manuscript in hindi - how to write a manuscript in hindi
Namste dosto, ap sabhi ka welcome hai humare aj me unique lesson me jisme hum ye janenge ki manuscript kya hoti hai or ese kaise likhte hain. Agar apki es vishay me ruchi hai to ap es lesson ko pura jarur padhe kyonki ye Writers or poet dono ke liye jaruri hai.
What is manuscript in hindi -
Dosto manuscript ko hindi me pandulipi kaha jata hai. Bahut varshon ke pahle print aadi ke sadhan nahi hua karte the tab lekhan me ruchi rakhne vale apni rachnao ko apne hath se likha karte the vahi manuscript hoti hai. Kahne ka matlb hai hath se kalam ke dwara jab hum apni rachnao ko likhte hain to uska vo collection manuscript kahlati hai.
Bhale hi aj print ke sadhan ban gye ho lekin aj bhi hume eski jarurat padhti hi hai. Manuscript ek aisa madhyam hai jinse hume purane writers ya poet aadi ke dwara likhi gyi rachnao ke bare me jankari milti hai. Pandulipi ka matlb ye nhi hota ki ap har kisi content ko copy karke hath se likh denge. Nhi manuscript vahi hoti hai jisme apki rachnaye apke dwara hath se likhi gyi ho.
How to write a manuscript in hindi -
Manuscript likhna jyada kathin nhi hai. Halanki esme thodi mehnat lagti hai lekin yakin maniye ye home work karne jitna boring apko nhi lagega. Ji han, kyonki apni rachnao ko ap interest ke sath kalam se kagaj par utarenge. Bs apni rachnao ko kagaj pe likhke use ek hastalikhit pustak ka rup de dijiye apki manuscript taiyar ho jayegi.
Dosto manuscript ki jarurt kyi bar padti hai. Jab ap apni book publish karane ke bare me sochte hain to kyi bar publication apse apki rachnao ki manuscript mangte hain taki vo uski ache se janch karke apki book publish kar sake. Itna hi nhi kyi bar aisi opportunities bhi aati hai jinme apko manuscript bhejni hoti hai. Kahne ka arth hai bhale hi waqt aage nikal gya ho lekin manuscript ka importance aj bhi kayam hai.
To dosto, muje vishwas hai apko ye lesson what is manuscript in hindi pasand aaya hoga. Aise hi free lesson padhne ke liye humari website ko rojana visit kare. Agar ap mail ke madhyam se har latest lesson ki jankari chahte hain to website pe aane ke bad subscribe box me apni email id dalke free me subscribe jarur karle. Milte hain fir ek aise hi lesson ke sath tab tak likhte rahiye or sikhte rahiye.
- Writer Yogendra Jeengar Yash

Post a Comment