Book likhna chahte ho to ye 5 bate yad rakhna-

Namste dosto, ap sabhi ka swagat hai humare aj ke lesson me jisme hum apko book likhne se judi 5 bate btana chahte hain jo apke book writing me bahut kam aane vali hai. Agar ap book likhne me interest rakhte hain to es lesson ko pura jarur padhe.

Book writing se judi 5 bate -

1. Catagory - agar ap kitab likhna chahte hain to catagory to apko dhyan rakhni hi hoti hai lekin esme bhi apko ek bat hamesha yad rakhni hogi. Kayi bar writers or poet book me ek 2 catagory mix kar dete hain jisse book etni impressive nahi dikhti. Kahne ka matlab hai jaise koi geet hi book hai to usme sare geet hi ho to vo impressive dikhegi anyatha book me kya hai ye koi samaj nahi payega.

5 book likhne ki tips

2. Content - dosto koi bhi book likhne me content ka sabse important role hai. Content ka matlb hi kisi topic pe hatke or unique likhna hota hai jo kisi ne nhi likha ho. Kahne ka arth hai jab tak apki rachna alg nhi hogi tab tak ap book nhi likh paoge. Kyuki ap kisi ka content copy nhi kar sakte ho. Agr ap kisi ke content ko chori se copy karke samil karte ho to publication kabhi bhi apki book ko publish nhi karega. Agr ap content writing ke bare me adhik jankari chahte hain to ap humara lesson content kya hai or content writing kaise kare jarur padhe.

3. Language - ap jis bhi language me book likhte hain apki language saral or easy honi chahiye taki padhne vala samaj sake ki ye kya kahna chah rha hai. Hamesha asi books ko jyada pasand kiya jata hai jinme bhasha saral ho.

Book likhne ki tips and tricks

4. manuscript - jab bhi book writing ke liye ap manuscript ya pandulipi taiyar karte ho to use achi writing me clear tarike se taiyar kare taki publication apki manuscript samaj paye. agar apko pta nhi hai ki manuscript kya hoti hai or ek achi manuscript kaise taiyar kare to ap humara lesson manuscript kya hai padhna na bhule.

5. Number of creation - book writing ke liye ek bat apko hamesha mind me rakhke chalna hota hai or vo hai apki rachnao ki sankhya. Kahne ka arth yhi hai apki rachnaye utni hi honi chahiye jitni ki ek book me hoti hai na jyada or na hi kum yani average. Agr ap poetry ki book nikalte hain to ek page par apki ek poem bhi aati hai to 60 se 70 poems apki poetry book ke liye kafi hogi. Padhne vale pathak apki book me interest tabhi lete hain jab unhe apki book se boriyat mahsus nhi ho.

To mere priya bandhuon apko pta chal gya hoga ki book writing ke liye kya dhyan me rakhna chahiye. Ummid karta hu apko ye lesson pasand aaya hoga. Rojana humara lesson pdhne ke liye ap humari website ko rojana visit kare ya fir ap humari website par aane ke bad subscribe box me apni email id dalke free me subscribe kar le taki humari har new lesson ki jankari apko mail ke madhyam se turant mil jayegi. Milte hain fir ek aise hi lesson ke sath tab tak likhte rahiye or sikhte rahiye.

- Writer Yogendra Jeengar Yash

1 Comments

  1. Content writing kya hai? Isse kaha submit Karna hota hai?

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post